Yosemite.

Thursday, September 18, 2008

Arz kiya hain...

Courtesy www.jammag.com

Yeh teri zulfein hain yaa raat ka andhera,
Yeh teri zulfein hain yaa raat ka andhera,
Ho jaa ganjee, kar de sawera.

Lohe ko Loha kat ta hai ... 
Sone Ko Sona Kat ta hai... 
Jaher ko Jaher kat ta hai... 
Isliye apko Kutta katega 

Woh to aaj bhi hamein dekh kar muskurate hain 
Par unke bachche bade kameene hain 
Jo hamein mama, mama kah kar bulate hain 

Tajmahal ko dekh kar, 
Bola shahjahan ka pota, 
Aaj hamaara bhi bank balance hota, 
Agar dada deewana naa hota... 

Jab dekha unhone tirchhi nazar se, 
toh hum madhosh ho gaye, 
Par jab pata chala ki unki nazare hi tirchhi hai, 
toh hum behosh ho gaye...

Bewafa tum ho to Wafadaar hum bhi nahi, 
Besharam tum ho to Sharmile hum bhi nahi, 
Pyaar ke is mode par Aake kehte ho 
Shaadi-shuda ho ? 
To kya hua darling... Kunwaare hum bhi nahin!

Jab jab gire baadal, teri yaad aayi 
Jhoom ke barsa saawan, teri yaad aayi 
Bheega main, lekin phir bhi teri yaad aayi 
Kyon na aaye teri yaad? Tune jo chatri ab tak nahi lautai... 

Aaj kal tum muskuraati ho bohut 
Mere dil ko bhaati ho bohut 
Dil kehta hai le jaoon tumhain dinner per 
Par suna hai tum khaati ho bohut! 

Chehra tera nazron ke saamne se hat ta nahi, 
Tere siva koi aur mujhe dikhta hi nahi, 
Ab toh bas ek hi dua karta hoon khuda se...
Ki tu thodi patli ho jaye, 
Aur mujhe baaki ke log bhi dikhayee de! 

Har khushi ko teri taraf mod doon, 
Tere liye chand taare tak tod doon, 
Ek baar tu has ke dikha... 
Tere sare daat tod doon! 

Sher sunne me sunane me maza aata hai 
Jab asli ka sher samne aata hai 
Tab bhaagne me maza aata hai 

(bhaiyya language)
Tuhaar chehraa moti samaan, 
Tuhaar chehraa moti samaan, 
Moti hamaar kutte ka naam!! 


Itna khoobsurat kaise muskura lete ho, 
Itna qatil kaise sharma lete ho, 
Kitni aasani se jaan le lete ho, 
Kisi ne sikhaya hai... Ya bachpan se hi kamine ho? 

Courtesy www.jammag.com

*************************************
And one last original shayari from me ----- 
Door se dekha to sher khadaa thaa,
door se dekha to sher khadaa thaa,
maaila, paas gayaa'ich nahi.

No comments: