Yosemite.

Thursday, March 19, 2009

Shayari continued ...

Arz kiya hain .....

Dil ke dard ko dil todne waala kya jaane,
pyaar ke rivajo ko ye zaalim zamaana kya jaane,
lagti hain kitni vaat neechey kabar mein,
yeh upper se phool chadhaane waala kya jaane


Naa tum terrace par aati,
Naa main deewaana hota,
Naa tum aankh milaati,
Naa main tumhaara parwaana hota,
Aur naa tum woh patthar maarti,
Naa main aaj kaana hota!
(Ouch!)

Bhagwaan, Allah sub jagah par hain
Khuda bhi sub jagah par hain
Idhar Khuda hai, udhar Khuda hai,
Jahaan dekho wahaan Khuda hai,
Idhar-udhar bus Khuda hi Khuda hai,
Jidhar nahi khuda hai….udhar kal khudega saala!
(This inspiration probably struck our Shaayar in Bombay while driving on potholes with occasional pieces of road sprinkled in between.)

More can be found here 
Courtesy www.jammag.com

No comments: